दुनिआ के १० सबसे खतरनाक वायरस | Top 10 Deadly Virus Of All Time
Description
This video is about the top 10 most deadly viruses spread in the world in all time. Dosto saal dar saal hume yeh sunne ko milta hi hai ki virus ke felne ki vajah se kuch logon ki maut ho gayi. Bimaari felne ki 2 vajah hoti hai. Virus aur Bacteria. Bacteria ko to hum medicine se theek kar sakte hai lekin virus ke felne ka khatra bhot jyada hota hai. Kuch virus 1 desh se dusre desh me logon ke through chale jate hai aur phir isi tarah veh duniya bhar me fel jata hai. Har saal sarkaar un virus ko khatam karne ke liye kuch naye abhiyaan chalaati hai lekin agle saal koi naya virus aa hi jata hai. To dosto aaj mai aapko pehle us virus ke baare me btaunga jo abhi duniya me sabse jyada fel raha hai.
Haal hi me aapne corona virus ke baare me to suna hi hoga jisne china me kaafi logon ki jaan le li hai. Cheen se shuru hua Corona virus ka khatra ab poori duniya me fel gaya hai. Ab tak achhute rahe Bharat me bhi tezi se sandigdh mareez saamne aane lage hai. Kerala me ek mareez me corona virus ke symptoms paye gaye hai. Ise dekhte hue sarkaar bhi alert ho gayi hai. Har airport par china ya dusre prabhaavit desho se aane wale logon ki jaanch ki ja rahi hai. Is beech, Hong- Kong ki sarkaar ne vahan ke logon ke liye jaruri nirdesh jaari kiye hai. Sarkaar ne aam janta ke liye notification jari kiya hai aur bataya gaya hai ki Corona virus ko lekar ab halaat gambhir ho gaye hai. Sabhi log isse bachne ke jaruri upaay kare. China me corona virus se marne wale logon ki sankhya 259 paar kar chuki hai. Ab tak 22 desho me iske symptons ke kareeb 11800 maamle saamne aaye hai. Haalanki, China ise rokne ki har mumkin koshish kar raha hai.
Corona virus ka sambhandh virus ke ese parivaar se hai, jiske symptoms se jukhaam se lekar saans lene me takleef jaisi problems ho sakti hai. Is virus ko pehle kabhi nahi dekha gaya. Is virus ke symptoms december me China ke Vihaan me shuru hue the. Ab tak is virus ko felne se rokne vala koi teeka nahi bana hai. Chine me is virus se tourist ki sankhya me antar aa raha hai. Jisse vahan ki economic state par asar pad raha hai. Vuhan se aane jane wale logon par jyadatar desho ne rok laga di hai. Lagbhag 18 saal pehle sars virus se bhi aisa hi khatra bana tha. 2002-03 me Sars ki vajah se poori duniya me 700 se jyada logon ki maut hui thi. Poori duniya me hazaaro log isse sankramit hue the.
Aur ab mai aapko 10 sabse khatarnaak viruses ke baare me btata hu.
Background Music Credit :
QUEEN OF THE SKIES by Nicolai Heidlas
"Royalty Free Music from HookSounds"
http://www.hooksounds.com
Song: Drake Stafford - Rolla
Music provided by Drake Stafford
Download/Stream: http://bit.ly/2nJHPlw
YouTube Video: https://youtu.be/tRzg3fsjrcQ
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -
More info about the Creative Commons license:
http://bit.ly/CCMusicLicense
__
Stay Connected
Instagram : www.instagram.com/harshnbc
__
Note : This Video is based on my internet research, and thus may not be 100% accurate.
Comments